We are sorry to announce that The Karaoke Online Flash site will no longer be available by the end of 2020 due to Adobe and all major browsers stopping support of the Flash Player."You can still sing karaoke with us. Go to thekaraokechannel.com/html to sing on your desktop.
Thanks for singing with us!
This content requires the Adobe Flash Player.
Get Flash
Breathless
In the style of
Lyrics
koi jo mila to mujhe
aisa lagta tha jaise
meri saari duniyaa mein
geeton ki rutt
aur rangon ki barkha hai
khushboo ki aandhi hai
mehki huyi si ab saari
fizaayen hain
behki huyi si ab saari
hawaayen hain
khoyi huyi si ab saari
dishaayen hain
badli huyi si ab saari
adaayen hain
jaagi umange hain
dhadak raha hai dil
saanson mein toofan hain
honthon pe nagmen hain
aankhon mein sapne hain
sapnon mein beete huye
saare wo lamhe hain
jab koi aaya tha
nazron pe chhaaya tha
dil mein samaaya tha
kaise mein bataun
tumhen
kaisa use paaya tha
pyaare se chehre pe
bikhri jo zulfen to
aisa lagta tha
jaise kohre ke
peechhe
ek oss mein dhula hua
phool khila hai
jaise baadal mein
ek chaand chhupaa hai
aur jhaank raha hai
jaise raat ke parde mein
ek savera hai
roshan roshan
aankhon mein
sapnon ka saagar
jis mein
prem sitaaron ki
chaadar
jaise chhalak
rahi hai
lehron lehron baat
karen
ho jaise moti barse
jaise kahin chaandi ki
paayal goonje
jaise kahin sheeshe
ke jaam gire
aur chhann se toote
jaise koi chhip ke
sitaar bajaaye
jaise koi chandani
raat mein gaaye
jaise koi haule se
paas bulaaye
kaisi meethi baaten
thi wo
kaisi mulaaqaten thi wo
jab maine jaana tha
nazron se kaise
pighalte hain dil
aur aarzoo paati hain
kaise manzil aur
kaise utarta hai
chaand zameen par
kaise kabhi lagta hai
swarg agar hai to
kaise yahin par
usne bataaya mujhe aur
samjhaya mujhe
hum jo mile hain humen
aise hi milna tha
gul jo khilen hain unhen
aise hi khilna tha
janmon ke bandhan
janmon ke rishte hain
jab bhi hum janmen to hum
yun hi milte hain
kaanon mein mere jaise
shehad se ghulne lage
khaabon ke par jaise
aankhon mein udne lage
khaabon ki duniyaa
bhi kitni haseen
aur kaisi rangeen thi
khaabon ki duniyaa
jo kehne ko thi
par kahin bhi nahin thi
khaab jo toote mere
aankh jo khuli meri
hosh jo aaya mujhe
maine dekha maine jaana
wo jo kabhi aaya tha
nazron pe chhaaya tha
dil mein samaaya tha
jaa bhi chuka hai aur
dil mera hai ab
tanha tanha
naa to koi armaan hai
naa koi tamanna hai
ab naa koi sapna hai
ab jo meri din
aur ab jo meri
raaten hain
unmen sirf aansun
hain unn mein sirf
dard ki ranj ki
baaten hain
aur fariyaaden hain
mera ab koi nahin
main hoon aur
khoye huye
pyaar ki yaaden
hain
main hoon aur
khoye huye
pyaar ki yaaden
hain
main hoon aur
khoye huye
pyaar ki yaaden
hain
Details
- Duration : 3:00
- Key : E
- Genre : Specialty
- Year released : 1998
- Language : Unknown
Related Content
Other songs in the style of Shankar Mahadevan